samjho to hawaon mein suraj nazar aaega
samjho to havāoñ meñ sūraj nazar aa.egā
har dhuup meñ chhāñv meñ sūraj nazar aa.egā
mausam ke badalne kā is se hī ta.alluq hai
in kaalī ghaTāoñ meñ sūraj nazar aa.egā
phūloñ kī mahak meñ vo tāroñ kī chamak meñ vo
pur-kaif fazāoñ meñ sūraj nazar aa.egā
us kī hī tajallī kā har taur se rishta hai
patthar kī sadāoñ meñ sūraj nazar aa.egā
hai rabt 'mirāq' us kā yazdānī ujāloñ se
aabid kī duāoñ meñ sūraj nazar aa.egā
samjho to hawaon mein suraj nazar aaega
har dhup mein chhanw mein suraj nazar aaega
mausam ke badalne ka is se hi talluq hai
in kali ghaTaon mein suraj nazar aaega
phulon ki mahak mein wo taron ki chamak mein wo
pur-kaif fazaon mein suraj nazar aaega
us ki hi tajalli ka har taur se rishta hai
patthar ki sadaon mein suraj nazar aaega
hai rabt 'miraq' us ka yazdani ujalon se
aabid ki duaon mein suraj nazar aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.