samundar is liye ghabra raha hai
samundar is liye ghabrā rahā hai
nadī kā rasta rokā jā rahā hai
judā kyā ho ga.e panchhī shajar se
lakaḌ-hārā bahut itrā rahā hai
utar jā.eñge ham bhī ab nazar se
hameñ jī bhar ke dekhā jā rahā hai
mire andar koī to hai jo mujh ko
mire baare meñ hī bhaḌkā rahā hai
ḳhamoshī kyoñ na TūTegī nadī kī
ki is meñ sañg pheñkā jā rahā hai
samundar is liye ghabra raha hai
nadi ka rasta roka ja raha hai
juda kya ho gae panchhi shajar se
lakaD-haara bahut itra raha hai
utar jaenge hum bhi ab nazar se
hamein ji bhar ke dekha ja raha hai
mere andar koi to hai jo mujh ko
mere bare mein hi bhaDka raha hai
KHamoshi kyon na TuTegi nadi ki
ki is mein sang phenka ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.