samundar mein utara ja raha tha
samundar meñ utārā jā rahā thā
mujhe dhoke se maarā jā rahā thā
jahāñ se aaj tak guzrā nahīñ maiñ
usī jānib dubāra jā rahā thā
navāzish naam kī thī dar-haqīqat
hameñ sar se utārā jā rahā thā
binā tere vo ik chhoTā sā lamha
kahāñ mujh se guzārā jā rahā thā
yahī thī sūkhe dariyā kī kahānī
kahīñ tanhā kināra jā rahā thā
samundar mein utara ja raha tha
mujhe dhoke se mara ja raha tha
jahan se aaj tak guzra nahin main
usi jaanib dubara ja raha tha
nawazish nam ki thi dar-haqiqat
hamein sar se utara ja raha tha
bina tere wo ek chhoTa sa lamha
kahan mujh se guzara ja raha tha
yahi thi sukhe dariya ki kahani
kahin tanha kinara ja raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.