samundar mein utarta ek jazira dekhte rahna
samundar meñ utartā ik jazīra dekhte rahnā
ḳhud apnī Dūbtī nabzoñ ko ab kyā dekhte rahnā
jamāl-e-māh-o-anjum kā hai charchā kor-bīnoñ meñ
ab ai ahl-e-nazar aage tamāshā dekhte rahnā
abhī maiñ apnī hī hastī ke madd-o-jazr meñ gum huuñ
kahāñ hisse meñ apne shor-e-dariyā dekhte rahnā
chamak se us kī nā-mumkin mirī āñkheñ chamak uTTheñ
yahāñ se haar ke jā.egī duniyā dekhte rahnā
luTā ke phir thake-māñdoñ ke sar pe chhāoñ jhūmegī
harī poshāk meñ shāḳh-e-barahna dekhte rahnā
na ye kamra na ye fehrist hai ‘izzat-ma.āboñ kī
ye qabristān 'ohdoñ kī hai katba dekhte rahnā
talab kī gard se dhuñdle hue chehroñ ke ā.īne
'nazīr' ab putliyoñ meñ dasht-o-sahrā dekhte rahnā
samundar mein utarta ek jazira dekhte rahna
KHud apni Dubti nabzon ko ab kya dekhte rahna
jamal-e-mah-o-anjum ka hai charcha kor-binon mein
ab ai ahl-e-nazar aage tamasha dekhte rahna
abhi main apni hi hasti ke madd-o-jazr mein gum hun
kahan hisse mein apne shor-e-dariya dekhte rahna
chamak se us ki na-mumkin meri aankhen chamak uTThen
yahan se haar ke jaegi duniya dekhte rahna
luTa ke phir thake-mandon ke sar pe chhaon jhumegi
hari poshak mein shaKH-e-barahna dekhte rahna
na ye kamra na ye fehrist hai ‘izzat-maabon ki
ye qabristan 'ohdon ki hai katba dekhte rahna
talab ki gard se dhundle hue chehron ke aaine
'nazir' ab putliyon mein dasht-o-sahra dekhte rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.