samundar pur-sukun hai dil ka tughyani nahin koi
samundar pur-sukūñ hai dil kā tuġhyānī nahīñ koī
havā pur-shor hai lekin pareshānī nahīñ koī
ta'ajjub hai to bas apnī vafādārī ke jazbe par
hameñ us ke badal jaane pe hairānī nahīñ koī
tasalsul ḳhvāb-e-ḳhush-āsār kā yuuñ TuuT jaane par
ta.assuf hai magar ai dil pashemānī nahīñ koī
ham apne aap hī ke dar pa.e āzār rahte haiñ
hamārā ham se baḌh kar dushman-e-jānī nahīñ koī
idhar aane se pahle hī hameñ mā'lūm thā 'nik.hat'
ye vo rasta hai jis raste meñ āsānī nahīñ koī
samundar pur-sukun hai dil ka tughyani nahin koi
hawa pur-shor hai lekin pareshani nahin koi
ta'ajjub hai to bas apni wafadari ke jazbe par
hamein us ke badal jaane pe hairani nahin koi
tasalsul KHwab-e-KHush-asar ka yun TuT jaane par
tassuf hai magar ai dil pashemani nahin koi
hum apne aap hi ke dar pae aazar rahte hain
hamara hum se baDh kar dushman-e-jaani nahin koi
idhar aane se pahle hi hamein ma'lum tha 'nikhat'
ye wo rasta hai jis raste mein aasani nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.