samundar ulTa-sidha bolta hai
samundar ulTā-sīdhā boltā hai
salīqe se to pyāsā boltā hai
yahāñ to us kā paisa boltā hai
vahāñ dekheñge vo kyā boltā hai
nigāheñ kartī rah jaatī haiñ hijje
vo jab chehre se imlā boltā hai
maiñ chup rahtā huuñ itnā bol kar bhī
vo chup rah kar bhī kitnā boltā hai
tumhāre saath uḌāneñ boltī haiñ
hamāre saath piñjra boltā hai
ye mahfil ḳhatm ho jaa.e to dekhūñ
binā mic ke vo kyā boltā hai
kisī ke lab nahīñ haiñ us ke jaise
vo har mahfil meñ tanhā boltā hai
mirī hadd-e-adab tā.īd tak hai
ḳhudā jaane vo kyā-kyā boltā hai
samundar ulTa-sidha bolta hai
saliqe se to pyasa bolta hai
yahan to us ka paisa bolta hai
wahan dekhenge wo kya bolta hai
nigahen karti rah jati hain hijje
wo jab chehre se imla bolta hai
main chup rahta hun itna bol kar bhi
wo chup rah kar bhi kitna bolta hai
tumhaare sath uDanen bolti hain
hamare sath pinjra bolta hai
ye mahfil KHatm ho jae to dekhun
bina mic ke wo kya bolta hai
kisi ke lab nahin hain us ke jaise
wo har mahfil mein tanha bolta hai
meri hadd-e-adab taid tak hai
KHuda jaane wo kya-kya bolta hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 54)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.