samundaron ke udhar se koi sada aai
samundaroñ ke udhar se koī sadā aa.ī
diloñ ke band darīche khule havā aa.ī
sarak ga.e the jo āñchal vo phir sañvāre ga.e
khule hue the jo sar un pe phir ridā aa.ī
utar rahī haiñ ajab ḳhushbueñ rag-o-pai meñ
ye kis ko chhū ke mire shahr meñ sabā aa.ī
use pukārā to hoñToñ pe koī naam na thā
mohabbatoñ ke safar meñ ajab fazā aa.ī
kahīñ rahe vo magar ḳhairiyat ke saath rahe
uThā.e haath to yaad ek hī duā aa.ī
samundaron ke udhar se koi sada aai
dilon ke band dariche khule hawa aai
sarak gae the jo aanchal wo phir sanware gae
khule hue the jo sar un pe phir rida aai
utar rahi hain ajab KHushbuen rag-o-pai mein
ye kis ko chhu ke mere shahr mein saba aai
use pukara to honTon pe koi nam na tha
mohabbaton ke safar mein ajab faza aai
kahin rahe wo magar KHairiyat ke sath rahe
uThae hath to yaad ek hi dua aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.