samundaron se bahut dur aashna Thahre
samundaroñ se bahut duur āshnā Thahre
ġhanīm mere safīne ke nāḳhudā Thahre
payām-e-haq ke amiiñ saare be-navā Thahre
ḳhudā kare ki mirī ḳhāmushī sadā Thahre
bujhā ke jaatī hai kitne charāġh ulfat ke
kabhī jo shahr meñ nafrat kī ye havā Thahre
chhupā ke jaanā paḌā ā.inoñ ko muñh apnā
nigāh-e-ḳhisht meñ jab sang aa.ina Thahre
nigār-ḳhāna-e-dil hai ujaaḌ muddat se
ho jis ke dil meñ Thaharne kā hausla Thahre
hamāre ḳhuun ke chhīñTe haiñ jin ke dāman par
nigāh-e-munsif-e-daurāñ meñ be-ḳhatā Thahre
tirī ḳhushī ko bhalā kaise ajnabī kah duuñ
mire liye to tire ġham bhī āshnā Thahre
hai kis kā naam lakīroñ meñ haath kī pūchhūñ
kabhī jo shahr meñ vo ramz-āshnā Thahre
bhaTak rahī hai ik umiid meñ idhar se udhar
qubūliyat kā khule dar to ye du'ā Thahre
bujhā huuñ maiñ to karūñ kis liye gila āḳhir
havā ke sāmne kab tak koī diyā Thahre
visāl-e-yār kī mehnat jo kar rahā huuñ maiñ
firāq-e-yār hī shāyad mirā sila Thahre
yahī hai riit jahāñ kī vafā kiyā jis se
usī bashar kī nigāhoñ meñ bevafā Thahre
isī umiid pe rakkhā hai ḳhushk hoñToñ ko
kabhī to kisht-e-badan par koī ghaTā Thahre
hamāre ġham meñ to halkān ho ga.iiñ rāheñ
kisī sarā.e meñ bhūle se ham jo aa Thahre
chhatoñ pe jaal bichhā.e hue haiñ sab 'ash.har'
kahāñ pe jā ke parindoñ kā qāfila Thahre
samundaron se bahut dur aashna Thahre
ghanim mere safine ke naKHuda Thahre
payam-e-haq ke amin sare be-nawa Thahre
KHuda kare ki meri KHamushi sada Thahre
bujha ke jati hai kitne charagh ulfat ke
kabhi jo shahr mein nafrat ki ye hawa Thahre
chhupa ke jaana paDa aainon ko munh apna
nigah-e-KHisht mein jab sang aaina Thahre
nigar-KHana-e-dil hai ujaD muddat se
ho jis ke dil mein Thaharne ka hausla Thahre
hamare KHun ke chhinTe hain jin ke daman par
nigah-e-munsif-e-dauran mein be-KHata Thahre
teri KHushi ko bhala kaise ajnabi kah dun
mere liye to tere gham bhi aashna Thahre
hai kis ka nam lakiron mein hath ki puchhun
kabhi jo shahr mein wo ramz-ashna Thahre
bhaTak rahi hai ek umid mein idhar se udhar
qubuliyat ka khule dar to ye du'a Thahre
bujha hun main to karun kis liye gila aaKHir
hawa ke samne kab tak koi diya Thahre
visal-e-yar ki mehnat jo kar raha hun main
firaq-e-yar hi shayad mera sila Thahre
yahi hai rit jahan ki wafa kiya jis se
usi bashar ki nigahon mein bewafa Thahre
isi umid pe rakkha hai KHushk honTon ko
kabhi to kisht-e-badan par koi ghaTa Thahre
hamare gham mein to halkan ho gain rahen
kisi sarae mein bhule se hum jo aa Thahre
chhaton pe jal bichhae hue hain sab 'ashhar'
kahan pe ja ke parindon ka qafila Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.