san lewe agar tu meri dildar ki aawaz
sun leve agar tū mirī dildār kī āvāz
hargiz na sune phir kabhūñ mizmār kī āvāz
khul jāveñ agar kaan tire dil ke to be-shak
har samt se phir aa.e tujhe yaar kī āvāz
sun kar vo sadā tā.ir-e-dil kī mire bole
shāyad ki ye hai bulbul-e-gulzār kī āvāz
ho jaave kamāñ tīr-e-falak bār-e-alam se
sun leve jo tere lab-e-sofār kī āvāz
murde ko jilā kar ke banāve hai masīhā
ai īsā-e-daurāñ tirī raftār kī āvāz
suntā huuñ maiñ 'āsim' shah-e-ḳhādim ke laboñ se
har lahza badal shiblī aur attār kī āvāz
sun lewe agar tu meri dildar ki aawaz
hargiz na sune phir kabhun mizmar ki aawaz
khul jawen agar kan tere dil ke to be-shak
har samt se phir aae tujhe yar ki aawaz
sun kar wo sada tair-e-dil ki mere bole
shayad ki ye hai bulbul-e-gulzar ki aawaz
ho jawe kaman tir-e-falak bar-e-alam se
sun lewe jo tere lab-e-sofar ki aawaz
murde ko jila kar ke banawe hai masiha
ai isa-e-dauran teri raftar ki aawaz
sunta hun main 'asim' shah-e-KHadim ke labon se
har lahza badal shibli aur attar ki aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.