sana-e-KHwaja mere zehn koi mazmun soch
sanā-e-ḳhvāja mere zehn koī mazmūñ soch
janāb vādī-e-hairat meñ gum huuñ kyā sochūñ
zabān marhala-e-mad.h pesh hai kuchh bol
majā-e-harf-zadan hī nahīñ hai kyā bolūñ
qalam bayāz-e-aqīdat meñ koī misrā likh
bajā kahā sar-e-taslīm ḳham hai kyā likhkhūñ
shu.ūr un ke maqām-e-payambarī ko samajh
maiñ qaid-e-had meñ huuñ vo be-karāñ maiñ kyā samjhūñ
ḳhirad ba-qadr-e-rasā.ī to un ke ilm ko jaan
maiñ nā-rasā.ī kā nuqta huuñ un ko kyā jānūñ
ḳhayāl gumbad-e-ḳhazrā kī samt uḌ par khol
ye maiñ huuñ aur ye mere bāl-o-par haiñ kyā kholūñ
talab madīne chaleñ nekiyoñ ke daftar bāñdh
yahāñ ye raḳht-e-safar hī nahīñ hai kyā bāñdhūñ
nigāh dekh ki hai rū-ba-rū dyār-e-jamāl
hai zarra zarra yahāñ āftāb kyā dekhūñ
dil un se harf-e-duā sheva-e-tamanna maañg
bilā savāl vo dāman bhareñ to ''kyā māñgūñ
huzūr ijz-e-bayāñ ko bayāñ samajh lījiye
tihī hai dāman-e-fan āstāñ pe kyā lā.ūñ
sana-e-KHwaja mere zehn koi mazmun soch
janab wadi-e-hairat mein gum hun kya sochun
zaban marhala-e-madh pesh hai kuchh bol
maja-e-harf-zadan hi nahin hai kya bolun
qalam bayaz-e-aqidat mein koi misra likh
baja kaha sar-e-taslim KHam hai kya likhkhun
shuur un ke maqam-e-payambari ko samajh
main qaid-e-had mein hun wo be-karan main kya samjhun
KHirad ba-qadr-e-rasai to un ke ilm ko jaan
main na-rasai ka nuqta hun un ko kya jaanun
KHayal gumbad-e-KHazra ki samt uD par khol
ye main hun aur ye mere baal-o-par hain kya kholun
talab madine chalen nekiyon ke daftar bandh
yahan ye raKHt-e-safar hi nahin hai kya bandhun
nigah dekh ki hai ru-ba-ru dyar-e-jamal
hai zarra zarra yahan aaftab kya dekhun
dil un se harf-e-dua shewa-e-tamanna mang
bila sawal wo daman bharen to kya mangun
huzur ijz-e-bayan ko bayan samajh lijiye
tihi hai daman-e-fan aastan pe kya laun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.