sanam ke hijr ka bimar main hun
sanam ke hijr kā bīmār maiñ huuñ
usī ke ishq meñ sarshār maiñ huuñ
ruḳh-e-dilbar hai raushan māh-e-tābāñ
chakorī kī tarah bedār maiñ huuñ
liye phirtā huuñ hāthoñ par sar apnā
nazar dilbar sar-e-bāzār maiñ huuñ
ġhulām-e-ḳhāk-e-pā maḳhdūm-sābir
fidā-e-jāñ sag-e-darbār maiñ huuñ
bulā lo yā alā.uddīn mujh ko
tere rauze kā ik zavvār maiñ huuñ
koī monis na hamdam āshnā hai
ye farmāo tirā ġham-ḳhvār maiñ huuñ
sanam ke hijr ka bimar main hun
usi ke ishq mein sarshaar main hun
ruKH-e-dilbar hai raushan mah-e-taban
chakori ki tarah bedar main hun
liye phirta hun hathon par sar apna
nazar dilbar sar-e-bazar main hun
ghulam-e-KHak-e-pa maKHdum-sabir
fida-e-jaan sag-e-darbar main hun
bula lo ya alauddin mujh ko
tere rauze ka ek zawwar main hun
koi monis na hamdam aashna hai
ye farmao tera gham-KHwar main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.