sanam ke KHayalon mein yun kho gaya hun
sanam ke ḳhayāloñ meñ yuuñ kho gayā huuñ
ki maiñ ek patthar kā but ho gayā huuñ
nahīñ dho sakā daaġh jo gañgā-jal bhī
use apne ashkoñ se maiñ dho gayā huuñ
bajā.e shajar ugte haiñ sirf patthar
maiñ zarḳhez dhartī meñ kyā bo gayā huuñ
nahīñ aañch aa.egī apnī anā par
bulāyā thā us ne tabhī to gayā huuñ
karoge mujhe dafn to yuuñ lagegā
ki maiñ maañ kī godī meñ hī so gayā huuñ
vaz.a-dārī kā paas thā jo chaman meñ
maiñ kaliyoñ kā sar chūmne ko gayā huuñ
mujhe faḳhr hai 'panchhī' bazm-e-suḳhan meñ
gayā huuñ ba-sūrat ġhazal-go gayā huuñ
sanam ke KHayalon mein yun kho gaya hun
ki main ek patthar ka but ho gaya hun
nahin dho saka dagh jo ganga-jal bhi
use apne ashkon se main dho gaya hun
bajae shajar ugte hain sirf patthar
main zarKHez dharti mein kya bo gaya hun
nahin aanch aaegi apni ana par
bulaya tha us ne tabhi to gaya hun
karoge mujhe dafn to yun lagega
ki main man ki godi mein hi so gaya hun
waza-dari ka pas tha jo chaman mein
main kaliyon ka sar chumne ko gaya hun
mujhe faKHr hai 'panchhi' bazm-e-suKHan mein
gaya hun ba-surat ghazal-go gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.