sanam se mohabbat bhi bezariyan bhi
sanam se mohabbat bhi bezariyan bhi
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
sanam se mohabbat bhī bezāriyāñ bhī
junūñ-koshiyāñ bhī haiñ hoshyāriyāñ bhī
mohabbat kī duniyā mohabbat kā aalam
ki hushyāriyāñ bhī haiñ sarshāriyāñ bhī
kabhī sirf patthar kabhī devtā hai
haiñ ḳhuddāriyāñ bhī parastāriyāñ bhī
mohabbat ke rāz-o-niyāz allāh allāh
haiñ shikve gile bhī vafādāriyāñ bhī
hai pur-lutf manzil to pur-ḳhār rāheñ
ki āsāniyāñ bhī haiñ dushvāriyāñ bhī
jarāhat bhī jāñ-baḳhsh marham bhī dil-kash
dil-āzāriyāñ bhī haiñ ġham-ḳhvāriyāñ bhī
zarā sinf-e-nāzuk kī himmat to dekho
haiñ kamzoriyāñ bhī jigar-dāriyāñ bhī
hai va.adoñ meñ lazzat bahānoñ meñ jiddat
vafā.eñ bhī haiñ aur jafā-kāriyāñ bhī
mohabbat ḳhatā bhī hai uzr-e-ḳhatā bhī
pashemāniyāñ bhī haiñ lāchāriyāñ bhī
'habīb' aadmī bhī ajab chīstāñ hai
mohabbat bhī hai aur siyah-kāriyāñ bhī
sanam se mohabbat bhi bezariyan bhi
junun-koshiyan bhi hain hoshyariyan bhi
mohabbat ki duniya mohabbat ka aalam
ki hushyariyan bhi hain sarshaariyan bhi
kabhi sirf patthar kabhi dewta hai
hain KHuddariyan bhi parastariyan bhi
mohabbat ke raaz-o-niyaz allah allah
hain shikwe gile bhi wafadariyan bhi
hai pur-lutf manzil to pur-KHar rahen
ki aasaniyan bhi hain dushwariyan bhi
jarahat bhi jaan-baKHsh marham bhi dil-kash
dil-azariyan bhi hain gham-KHwariyan bhi
zara sinf-e-nazuk ki himmat to dekho
hain kamzoriyan bhi jigar-dariyan bhi
hai wadon mein lazzat bahanon mein jiddat
wafaen bhi hain aur jafa-kariyan bhi
mohabbat KHata bhi hai uzr-e-KHata bhi
pashemaniyan bhi hain lachaariyan bhi
'habib' aadmi bhi ajab chistan hai
mohabbat bhi hai aur siyah-kariyan bhi
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 61)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.