sanbhaal ai meri miTTi badal na jaun kahin
sañbhāl ai mirī miTTī badal na jā.ūñ kahīñ
mujhe rulā de ki patthar meñ Dhal na jā.ūñ kahīñ
kamān-e-jāñ meñ huuñ ik āḳhirī nafas kā tiir
maiñ dastaras se bhī apnī nikal na jā.ūñ kahīñ
sameT le mire mahtāb mujh ko siine meñ
jhulas rahī hai koī shai maiñ jal na jā.ūñ kahīñ
vafā ke naam pe de jo fareb de mujh ko
tabāh hone se pahle sañbhal na jā.ūñ kahīñ
ġharīb-e-shahr-e-suḳhan apnī qadr-o-qīmat kyā
bahut hai bhiiḌ 'mujībī' kuchal na jā.ūñ kahīñ
sanbhaal ai meri miTTi badal na jaun kahin
mujhe rula de ki patthar mein Dhal na jaun kahin
kaman-e-jaan mein hun ek aaKHiri nafas ka tir
main dastaras se bhi apni nikal na jaun kahin
sameT le mere mahtab mujh ko sine mein
jhulas rahi hai koi shai main jal na jaun kahin
wafa ke nam pe de jo fareb de mujh ko
tabah hone se pahle sanbhal na jaun kahin
gharib-e-shahr-e-suKHan apni qadr-o-qimat kya
bahut hai bhiD 'mujibi' kuchal na jaun kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.