sanbhaalta hai tera dast-e-moatabar mujhko
sañbhāltā hai tirā dast-e-mo'atabar mujh ko
to kis liye ho koī ḳhauf yā ḳhatar mujh ko
bas ek baar tirī justujū meñ niklā thā
phir is ke baad na apnī milī ḳhabar mujh ko
vo ik makān jo parchhā.iyoñ kā maskan hai
vahī bulātā hai muddat se raat bhar mujh ko
khulā yahī ki hai vo zard mausamoñ kā naqīb
jo lag rahā thā bahāroñ kā nāma-bar mujh ko
na jaane kab se khaḌā huuñ ḳhirad kī sarhad par
havā-e-kū-e-junūñ aa shikār kar mujh ko
kuchh intizām na.e bāl-o-par kā ho jaa.e
digar jahān kā darpesh hai safar mujh ko
sañvārne meñ lagā thā maiñ jis ke shām-o-sahar
samajh rahā thā vahī shaḳhs be-hunar mujh ko
havā-e-sub.h hai yā hai shamīm-e-jāñ-afroz
jagāne aatā hai koī dam-e-sahar mujh ko
ye sochtā huuñ ki sahrā ko apnā ghar kar luuñ
ki raas aa na sake apne bām-o-dar mujh ko
nazar jhukā ke mujhe DhūñD apne paikar meñ
talāsh kartā hai kyoñ tū idhar udhar mujh ko
mujhe talāsh thī jis kī vahī milā na 'mujīb'
qadam qadam pe mile yuuñ to dīda-var mujh ko
sanbhaalta hai tera dast-e-mo'atabar mujh ko
to kis liye ho koi KHauf ya KHatar mujh ko
bas ek bar teri justuju mein nikla tha
phir is ke baad na apni mili KHabar mujh ko
wo ek makan jo parchhaiyon ka maskan hai
wahi bulata hai muddat se raat bhar mujh ko
khula yahi ki hai wo zard mausamon ka naqib
jo lag raha tha bahaaron ka nama-bar mujh ko
na jaane kab se khaDa hun KHirad ki sarhad par
hawa-e-ku-e-junun aa shikar kar mujh ko
kuchh intizam nae baal-o-par ka ho jae
digar jahan ka darpesh hai safar mujh ko
sanwarne mein laga tha main jis ke sham-o-sahar
samajh raha tha wahi shaKHs be-hunar mujh ko
hawa-e-subh hai ya hai shamim-e-jaan-afroz
jagane aata hai koi dam-e-sahar mujh ko
ye sochta hun ki sahra ko apna ghar kar lun
ki ras aa na sake apne baam-o-dar mujh ko
nazar jhuka ke mujhe DhunD apne paikar mein
talash karta hai kyon tu idhar udhar mujh ko
mujhe talash thi jis ki wahi mila na 'mujib'
qadam qadam pe mile yun to dida-war mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.