sanbhal dil ki nazuk bahut imtihan hai
sañbhal dil ki nāzuk bahut imtihāñ hai
mohabbat subuk hai agar sargirāñ hai
mirā hāl-e-dil pūchhte ho azīzo
mirā hāl-e-dil rañg-e-ruḳh se ayaañ hai
ilāhī mire zabt kī laaj rakhnā
vo nā-mehrbāñ aaj phir mehrbāñ hai
bahār aa rahī hai dhaḌakne lagā dil
mirī samt kyoñ multafit bāġhbāñ hai
ik ujḌī sī nagrī meñ sunsān sā ghar
ye merā pata hai ye merā nishāñ hai
miTāte rahe vo pukārā kiyā maiñ
mirā āshiyāñ hai mirā āshiyāñ hai
mire saath duniyā kā bartāv 'ālim'
ajab vāqi.a hai ajab dāstāñ hai
sanbhal dil ki nazuk bahut imtihan hai
mohabbat subuk hai agar sargiran hai
mera haal-e-dil puchhte ho azizo
mera haal-e-dil rang-e-ruKH se ayan hai
ilahi mere zabt ki laj rakhna
wo na-mehrban aaj phir mehrban hai
bahaar aa rahi hai dhaDakne laga dil
meri samt kyon multafit baghban hai
ek ujDi si nagri mein sunsan sa ghar
ye mera pata hai ye mera nishan hai
miTate rahe wo pukara kiya main
mera aashiyan hai mera aashiyan hai
mere sath duniya ka bartaw 'alim'
ajab waqia hai ajab dastan hai
- Book : دامن تار تار (Pg. 96)
- Author : سید عالم واسطی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.