sanbhal sanbhal ke chaloge to faeda hoga
sañbhal sañbhal ke chaloge to fā.eda hogā
baḌoñ kī baat sunoge to fā.eda hogā
ye pal parinde nahīñ haiñ ki lauT ā.eñge
samay kī qadr karoge to fā.eda hogā
havā kā haath tumheñ rāsta dikhā.egā
havā ke sang chaloge to fā.eda hogā
nazar phir ā.eñgī tum ko ka.ī chhupī chīzeñ
charāġh ban ke jaloge to fā.eda hogā
na.e ḳhayāl meñ dhaḌkan samo ke laayā huuñ
mirā jo sher paḌhoge to fā.eda hogā
ga.e dinoñ ke ka.ī raaz tum pe kholegā
shajar ke paas rahoge to fā.eda hogā
amal kā radd-e-amal har amal pe laagū hai
kisī kā saath bhī doge to fā.eda hogā
sanbhal sanbhal ke chaloge to faeda hoga
baDon ki baat sunoge to faeda hoga
ye pal parinde nahin hain ki lauT aaenge
samay ki qadr karoge to faeda hoga
hawa ka hath tumhein rasta dikhaega
hawa ke sang chaloge to faeda hoga
nazar phir aaengi tum ko kai chhupi chizen
charagh ban ke jaloge to faeda hoga
nae KHayal mein dhaDkan samo ke laya hun
mera jo sher paDhoge to faeda hoga
gae dinon ke kai raaz tum pe kholega
shajar ke pas rahoge to faeda hoga
amal ka radd-e-amal har amal pe lagu hai
kisi ka sath bhi doge to faeda hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.