sanbhal sanbhal ke yahan zindagi basar ki hai
sanbhal sanbhal ke yahan zindagi basar ki hai
Kaleem Qaisar Balrampuri
MORE BYKaleem Qaisar Balrampuri
sañbhal sañbhal ke yahāñ zindagī basar kī hai
baḌī tavīl kahānī thī muḳhtasar kī hai
tū mujh ko ḳhaak samajhtā hai ḳhaak samjhā kar
magar ye dekh ki ye ḳhaak kis ke dar kī hai
vo jis kī chhāñv meñ aane se jism jal jaa.e
tirī misāl to ai dost us shajar kī hai
tumhārī yaad kā marham lagā.e phirte haiñ
ye choT tum ne jo dī hai vo umr bhar kī hai
na sirf paañv hue zehn-o-dil bhī shal jis meñ
thakan to aaj bhī 'qaisar' usī safar kī hai
sanbhal sanbhal ke yahan zindagi basar ki hai
baDi tawil kahani thi muKHtasar ki hai
tu mujh ko KHak samajhta hai KHak samjha kar
magar ye dekh ki ye KHak kis ke dar ki hai
wo jis ki chhanw mein aane se jism jal jae
teri misal to ai dost us shajar ki hai
tumhaari yaad ka marham lagae phirte hain
ye choT tum ne jo di hai wo umr bhar ki hai
na sirf panw hue zehn-o-dil bhi shal jis mein
thakan to aaj bhi 'qaisar' usi safar ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.