sang barsenge aur muskuraenge hum
sañg barseñge aur muskurā.eñge ham
yuuñ bhī ku-e-malāmat meñ jā.eñge ham
aa.ina tere ġham ko dikhā.eñge ham
dil jalegā magar muskurā.eñge ham
har masarrat se dāman bachā.eñge ham
ġham tirā is tarah āzmā.eñge ham
har masarrat se dāman bachā.eñge ham
ab ye sochā hai ik shaḳhs kī yaad ko
zindagī kī tarah bhuul jā.eñge ham
dekhnā ban ke parvāna aaoge tum
sūrat-e-sham' ḳhud ko jalā.eñge ham
dushmanoñ par agar vaqt koī paḌā
dostoñ kī tarah pesh ā.eñge ham
dil ko zaḳhmoñ se 'aḳhgar' sajā.e hue
roz jashn-e-bahārāñ manāeñge ham
sang barsenge aur muskuraenge hum
yun bhi ku-e-malamat mein jaenge hum
aaina tere gham ko dikhaenge hum
dil jalega magar muskuraenge hum
har masarrat se daman bachaenge hum
gham tera is tarah aazmaenge hum
har masarrat se daman bachaenge hum
ab ye socha hai ek shaKHs ki yaad ko
zindagi ki tarah bhul jaenge hum
dekhna ban ke parwana aaoge tum
surat-e-sham' KHud ko jalaenge hum
dushmanon par agar waqt koi paDa
doston ki tarah pesh aaenge hum
dil ko zaKHmon se 'aKHgar' sajae hue
roz jashn-e-bahaaran manaenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.