sang-dil yun bhi mohabbat ka sila dete hain
sang-dil yun bhi mohabbat ka sila dete hain
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
sang-dil yuuñ bhī mohabbat kā sila dete haiñ
bhuul kar ahd-e-vafā ranj-e-vafā dete haiñ
apne dīvāne ko kyā ḳhuub sazā dete haiñ
dil ke har goshe meñ tūfān uThā dete haiñ
muddateñ guzrīñ idhar se koī guzrā hī nahīñ
roz ham sham.a jalāte haiñ bujhā dete haiñ
chaal meñ raqs-e-nasīm-e-saharī ke andāz
baat karte haiñ to ġhunchoñ ko khilā dete haiñ
ek hī kaam mohabbat meñ hai dīvānoñ kā
tum salāmat raho bas ye hī sadā dete haiñ
maut us kī hai hayāt us kī hai duniyā us kī
jis ko jiine kā salīqa vo sikhā dete haiñ
un se ai 'dard' taġhāful kī shikāyat kyā hai
jo har ik baat kā afsāna banā dete haiñ
sang-dil yun bhi mohabbat ka sila dete hain
bhul kar ahd-e-wafa ranj-e-wafa dete hain
apne diwane ko kya KHub saza dete hain
dil ke har goshe mein tufan uTha dete hain
muddaten guzrin idhar se koi guzra hi nahin
roz hum shama jalate hain bujha dete hain
chaal mein raqs-e-nasim-e-sahari ke andaz
baat karte hain to ghunchon ko khila dete hain
ek hi kaam mohabbat mein hai diwanon ka
tum salamat raho bas ye hi sada dete hain
maut us ki hai hayat us ki hai duniya us ki
jis ko jine ka saliqa wo sikha dete hain
un se ai 'dard' taghaful ki shikayat kya hai
jo har ek baat ka afsana bana dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.