sang-e-chehra-numa to main bhi hun
sañg-e-chehra-numā to maiñ bhī huuñ
dekhiye aa.ina to maiñ bhī huuñ
bai.at-e-husn kī hai maiñ ne bhī
sāhab-e-silsila to maiñ bhī huuñ
mujh pe hañstā hai kyuuñ sitāra-e-sub.h
raat bhar jāgtā to maiñ bhī huuñ
kaun pahuñchā hai dasht-e-imkāñ tak
vaise pahuñchā huā to maiñ bhī huuñ
ā.īna hai sabhī kī kamzorī
tum hī kyā ḳhud-numā to maiñ bhī huuñ
merā dushman hai dūsrā har shaḳhs
aur vo dūsrā to maiñ bhī huuñ
sang-e-chehra-numa to main bhi hun
dekhiye aaina to main bhi hun
baiat-e-husn ki hai main ne bhi
sahab-e-silsila to main bhi hun
mujh pe hansta hai kyun sitara-e-subh
raat bhar jagta to main bhi hun
kaun pahuncha hai dasht-e-imkan tak
waise pahuncha hua to main bhi hun
aaina hai sabhi ki kamzori
tum hi kya KHud-numa to main bhi hun
mera dushman hai dusra har shaKHs
aur wo dusra to main bhi hun
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 401)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.