sang-e-dar dekh ke hairan the hum kis ka hai
sang-e-dar dekh ke hairan the hum kis ka hai
Sarahat Ahmad Sarahat
MORE BYSarahat Ahmad Sarahat
sang-e-dar dekh ke hairān the ham kis kā hai
dil ne samjhā diyā jhuk kar ye haram kis kā hai
vo hameñ apnā banā kar hī sazā dete haiñ
ye sitam un kā agar hai to karam kis kā hai
apnī āñkhoñ ne batāyā to samajh meñ aayā
chashm-e-namnāk pe ye dāman-e-nam kis kā hai
sar jhukāte haiñ 'aqīdat meñ jhukāne vaale
dekhtā koī nahīñ naqsh-e-qadam kis kā hai
sang-e-dar dekh ke hairan the hum kis ka hai
dil ne samjha diya jhuk kar ye haram kis ka hai
wo hamein apna bana kar hi saza dete hain
ye sitam un ka agar hai to karam kis ka hai
apni aankhon ne bataya to samajh mein aaya
chashm-e-namnak pe ye daman-e-nam kis ka hai
sar jhukate hain 'aqidat mein jhukane wale
dekhta koi nahin naqsh-e-qadam kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.