sang-e-dushnam ko gauhar jaana
sañg-e-dushnām ko gauhar jaanā
ham ne dushman ko bhī dilbar jaanā
nañg-e-ulfat hī rahā parvāna
us ko aatā hai faqat mar jaanā
pūchh lenā dar-o-dīvār kā haal
ai bagūlo jo mire ghar jaanā
sar qalam karte rahe zulm ke haath
yaar logoñ ne muqaddar jaanā
kam-nigāhī ne Duboyā ham ko
ek qatre ko samundar jaanā
tesha-bardār ko farhād kahā
ā.īna-gar ko sikandar jaanā
ham haqīqat meñ the kohsār magar
ḳhud ko zarroñ se bhī kam-tar jaanā
sang-e-dushnam ko gauhar jaana
hum ne dushman ko bhi dilbar jaana
nang-e-ulfat hi raha parwana
us ko aata hai faqat mar jaana
puchh lena dar-o-diwar ka haal
ai bagulo jo mere ghar jaana
sar qalam karte rahe zulm ke hath
yar logon ne muqaddar jaana
kam-nigahi ne Duboya hum ko
ek qatre ko samundar jaana
tesha-bardar ko farhad kaha
aaina-gar ko sikandar jaana
hum haqiqat mein the kohsar magar
KHud ko zarron se bhi kam-tar jaana
- Book : naquush (Pg. 267)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.