sang hathon mein le ke sab aae
sañg hāthoñ meñ le ke sab aa.e
aur sitam ye tire sabab aa.e
paa.ī manzil to sab ne ye pūchhā
aap is rāste pe kab aa.e
sub.h vaale ki shaam vaale dukh
paas mere hī aa.e jab aa.e
log kyā kyā na ishq meñ 'jāzib'
chhoḌ kar naam aur nasab aa.e
sang hathon mein le ke sab aae
aur sitam ye tere sabab aae
pai manzil to sab ne ye puchha
aap is raste pe kab aae
subh wale ki sham wale dukh
pas mere hi aae jab aae
log kya kya na ishq mein 'jazib'
chhoD kar nam aur nasab aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.