sang hain nawak-e-dushnam hain ruswai hai
sañg haiñ nāvak-e-dushnām haiñ rusvā.ī hai
ye tire shahr kā andāz-e-pazīrā.ī hai
kitnā phailegā ye ik vasl kā lamha āḳhir
kyā sameToge ki ik 'umr kī tanhā.ī hai
kuchh to yāroñ se milā sañg-e-malāmat hī sahī
kis ne is shahr meñ yuuñ dād-e-hunar paa.ī hai
ek patthar idhar aayā hai to is soch meñ huuñ
merī is shahr meñ kis kis se shanāsā.ī hai
'shauq' jis din se charāġhāñ hai ḳhayāloñ kī galī
jashn sā jashn hai tanhā.ī sī tanhā.ī hai
sang hain nawak-e-dushnam hain ruswai hai
ye tere shahr ka andaz-e-pazirai hai
kitna phailega ye ek wasl ka lamha aaKHir
kya sameToge ki ek 'umr ki tanhai hai
kuchh to yaron se mila sang-e-malamat hi sahi
kis ne is shahr mein yun dad-e-hunar pai hai
ek patthar idhar aaya hai to is soch mein hun
meri is shahr mein kis kis se shanasai hai
'shauq' jis din se charaghan hai KHayalon ki gali
jashn sa jashn hai tanhai si tanhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.