sang ek aur gira dil ke nihan-KHane mein
sañg ik aur girā dil ke nihāñ-ḳhāne meñ
ashk girte hī rahe phir use bahlāne meñ
maiñ samajh paa.ī na ai dil rahī ye kis kī ḳhatā
aa ga.ī kyoñ maiñ tire daam meñ anjāne meñ
us kī bātoñ meñ agarche thī vafā kī ḳhushbū
der phir bhī na lagī dhokā mujhe khāne meñ
jhuuT ko detā hai vo sach kā labāda kaisā
lutf aatā hai bahut us ke is afsāne meñ
farq kyā mujh ko paḌā ek shikast aur sahī
hai ajab sā hī nasha maat ke khā jaane meñ
sharmsār apne kahe par nahīñ hai 'fātima' vo
sharm aatī hai use apne hī sharmāne meñ
sang ek aur gira dil ke nihan-KHane mein
ashk girte hi rahe phir use bahlane mein
main samajh pai na ai dil rahi ye kis ki KHata
aa gai kyon main tere dam mein anjaane mein
us ki baaton mein agarche thi wafa ki KHushbu
der phir bhi na lagi dhoka mujhe khane mein
jhuT ko deta hai wo sach ka labaada kaisa
lutf aata hai bahut us ke is afsane mein
farq kya mujh ko paDa ek shikast aur sahi
hai ajab sa hi nasha mat ke kha jaane mein
sharmsar apne kahe par nahin hai 'fatima' wo
sharm aati hai use apne hi sharmane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.