sang kisi ke chalte jaen dhyan kisi ka rakkhen
sañg kisī ke chalte jaa.eñ dhyān kisī kā rakkheñ
ham vo musāfir saath apne sāmān kisī kā rakkheñ
rañg-birañge manzar dil meñ āñhkeñ ḳhālī ḳhālī
ham āvāz kisī ko deñ imkān kisī kā rakkheñ
ik jaise haiñ dukh sukh sab ke ik jaisī ummīdeñ
ek kahānī sab kī kyā unvān kisī kā rakkheñ
din bhar to ham paḌhte phireñ apnī ġhazleñ nazmeñ
raat sirhāne apne ham dīvān kisī kā rakkheñ
ukhḌī ukhḌī ulTī sīdhī 'shāz' haiñ us kī bāteñ
aao kuchh din is dil ko mehmān kisī kā rakkheñ
sang kisi ke chalte jaen dhyan kisi ka rakkhen
hum wo musafir sath apne saman kisi ka rakkhen
rang-birange manzar dil mein aanhken KHali KHali
hum aawaz kisi ko den imkan kisi ka rakkhen
ek jaise hain dukh sukh sab ke ek jaisi ummiden
ek kahani sab ki kya unwan kisi ka rakkhen
din bhar to hum paDhte phiren apni ghazlen nazmen
raat sirhane apne hum diwan kisi ka rakkhen
ukhDi ukhDi ulTi sidhi 'shaz' hain us ki baaten
aao kuchh din is dil ko mehman kisi ka rakkhen
- Book : khamoshi ki khidkii se (Pg. 307)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.