sang ko chhoD ke tu ne kabhi socha hi nahin
sañg ko chhoḌ ke tū ne kabhī sochā hī nahīñ
apnī hastī meñ ḳhudā ko kabhī DhūñDā hī nahīñ
uljhā uljhā sā hai kyuuñ apne bharam meñ har-dam
tū ne ḳhud apne garebān meñ jhāñkā hī nahīñ
tere hone se karam us kā nazar aatā hai
tujh se baḌh kar koī shāhid vo dikhātā hī nahīñ
us ke bandoñ meñ use DhūñDh agar hai ḳhvāhish
vo sanam-ḳhānoñ ke dar par kabhī dikhtā hī nahīñ
lamha lamha vo samāyā hai rag-o-pai meñ 'sabā'
had se aage kabhī ehsās ne chhoḌā hī nahīñ
sang ko chhoD ke tu ne kabhi socha hi nahin
apni hasti mein KHuda ko kabhi DhunDa hi nahin
uljha uljha sa hai kyun apne bharam mein har-dam
tu ne KHud apne gareban mein jhanka hi nahin
tere hone se karam us ka nazar aata hai
tujh se baDh kar koi shahid wo dikhata hi nahin
us ke bandon mein use DhunDh agar hai KHwahish
wo sanam-KHanon ke dar par kabhi dikhta hi nahin
lamha lamha wo samaya hai rag-o-pai mein 'saba'
had se aage kabhi ehsas ne chhoDa hi nahin
- Book : Ehsaas (Pg. 189)
- Author : Bubbles Hora Saba
- Publication : Bubbles Hora Saba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.