sang the pighle to pani ho gae
sañg the pighle to paanī ho ga.e
ham vo chehre jo kahānī ho ga.e
khel hai ab har taraf tasvīr kā
lafz saare be-ma.ānī ho ga.e
baat karnī thī hameñ jis se bahut
ham usī kī be-zabānī ho ga.e
chand qatre rah ga.e the aañkh meñ
vo bhī dariyā kī ravānī ho ga.e
sabz mausam aa gayā thā room meñ
aa.ine bhī dhānī dhānī ho ga.e
āsmāñ par rah ke bhī tum ḳhaak ho
ham zamīñ par āsmānī ho ga.e
chhāñv meñ gautam kī kyā baiThe 'shakīl'
thoḌe thoḌe ham bhī gyānī ho ga.e
sang the pighle to pani ho gae
hum wo chehre jo kahani ho gae
khel hai ab har taraf taswir ka
lafz sare be-maani ho gae
baat karni thi hamein jis se bahut
hum usi ki be-zabani ho gae
chand qatre rah gae the aankh mein
wo bhi dariya ki rawani ho gae
sabz mausam aa gaya tha room mein
aaine bhi dhani dhani ho gae
aasman par rah ke bhi tum KHak ho
hum zamin par aasmani ho gae
chhanw mein gautam ki kya baiThe 'shakil'
thoDe thoDe hum bhi gyani ho gae
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 37)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.