sang us ka hai aur sar mera
sang us kā hai aur sar merā
āḳhirī moḌ par hai Dar merā
ik chhalāvā hai miil kā patthar
ik haqīqat hai ye safar merā
ai havāo chalo gavāhī do
tum ne dekhā hai jaltā ghar merā
do ghaḌī aur mujh ko sun liije
ab to qissa hai muḳhtasar merā
jab zamāna thā merī muTThī meñ
kaam aayā bahut hunar merā
maiñ nahīñ fan-shanās kahte haiñ
naam thoḌā hai mo'atabar merā
bas kisī taur ai miyāñ 'sāqib'
ho rahā hai guzar-basar merā
sang us ka hai aur sar mera
aaKHiri moD par hai Dar mera
ek chhalawa hai mil ka patthar
ek haqiqat hai ye safar mera
ai hawao chalo gawahi do
tum ne dekha hai jalta ghar mera
do ghaDi aur mujh ko sun lije
ab to qissa hai muKHtasar mera
jab zamana tha meri muTThi mein
kaam aaya bahut hunar mera
main nahin fan-shanas kahte hain
nam thoDa hai mo'atabar mera
bas kisi taur ai miyan 'saqib'
ho raha hai guzar-basar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.