sang uske hi safar ho kyunkar
sañg us ke hī safar ho kyūñkar
ziist pahle sī basar ho kyūñkar
jī jo chāhe hai ki mar jā.ūñ maiñ
raat se pahle sahar ho kyūñkar
ab kahāñ quvvat-e-goyā.ī hai
un kī bātoñ kā asar ho kyūñkar
zindagī ek safar hai sach hai
ho gumāñ koī magar ho kyūñkar
jab jiye koī kisī kī ḳhātir
is ko apnī bhī ḳhabar ho kyūñkar
dil hī pahlū se nikal jaa.e jo
aah hairāñ bhī jigar ho kyūñkar
ruuh sarshār kare vo 'hasrat'
mai-kade par bhī nazar ho kyūñkar
sang us ke hi safar ho kyunkar
zist pahle si basar ho kyunkar
ji jo chahe hai ki mar jaun main
raat se pahle sahar ho kyunkar
ab kahan quwwat-e-goyai hai
un ki baaton ka asar ho kyunkar
zindagi ek safar hai sach hai
ho guman koi magar ho kyunkar
jab jiye koi kisi ki KHatir
is ko apni bhi KHabar ho kyunkar
dil hi pahlu se nikal jae jo
aah hairan bhi jigar ho kyunkar
ruh sarshaar kare wo 'hasrat'
mai-kade par bhi nazar ho kyunkar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.