sankh mandir bajata raha
sañkh mandir bajātā rahā
diip jañgal jagātā rahā
uñgliyāñ jab shuā.eñ banīñ
phir na sūraj se naatā rahā
thā samundar mire sāmne
maiñ lakīreñ banātā rahā
sīpiyāñ kokh kī hastiyāñ
haar motī dikhātā rahā
khā ke kashtī kī lakḌī mirī
bhuuk tūfāñ miTātā rahā
pusht-dar-pusht thā daur jab
kyuuñ khañDar paas aatā rahā
sankh mandir bajata raha
dip jangal jagata raha
ungliyan jab shuaen banin
phir na suraj se nata raha
tha samundar mere samne
main lakiren banata raha
sipiyan kokh ki hastiyan
haar moti dikhata raha
kha ke kashti ki lakDi meri
bhuk tufan miTata raha
pusht-dar-pusht tha daur jab
kyun khanDar pas aata raha
- Book : Kimiya-e-samri (Pg. 28)
- Author : Mehdi Jafar
- Publication : Rujhan Publication (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.