sannaTa chha gaya hai shab-e-gham ki chap par
sannāTā chhā gayā hai shab-e-ġham kī chaap par
sūraj ko thā yaqīn bahut apne-āp par
vo sā.iqa mizāj hai maiñ sard barf sā
hairat-zada haiñ log tamām is milāp par
maiñ huuñ fasurda shaam kī afsurdagī hai aur
dhundlā sā aks-e-yār hai yādoñ kī bhaap par
maiñ manziloñ kī justujū meñ thā ba-rañg-e-mauj
ab raqs kar rahā huuñ mohabbat kī thaap par
lāzim ye pesh-ḳhema-e-āfāt hai 'ḳhayāl'
bejā jamā nahīñ haiñ parinde alaap par
sannaTa chha gaya hai shab-e-gham ki chap par
suraj ko tha yaqin bahut apne-ap par
wo saiqa mizaj hai main sard barf sa
hairat-zada hain log tamam is milap par
main hun fasurda sham ki afsurdagi hai aur
dhundla sa aks-e-yar hai yaadon ki bhap par
main manzilon ki justuju mein tha ba-rang-e-mauj
ab raqs kar raha hun mohabbat ki thap par
lazim ye pesh-KHema-e-afat hai 'KHayal'
beja jama nahin hain parinde alap par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.