sannaTe ki ek kahani hoti hai
sannāTe kī ek kahānī hotī hai
bhūlī-bisrī yaad suhānī hotī hai
kuchh bāteñ aisī hī jo be-ma.anī haiñ
kuchh qissoñ meñ ab bhī naanī hotī hai
dīvāroñ par Tañge calendar ḳhasta haiñ
tārīḳhoñ meñ ek nishānī hotī hai
rishtoñ ke tāne-bāne se matlab kyā
be-matlab hī kuchh nādānī hotī hai
mausam dariyā jangal sahrā gaañv 'shakīl'
sab kī sifat jaanī pahchānī hotī hai
sannaTe ki ek kahani hoti hai
bhuli-bisri yaad suhani hoti hai
kuchh baaten aisi hi jo be-mani hain
kuchh qisson mein ab bhi nani hoti hai
diwaron par Tange calendar KHasta hain
tariKHon mein ek nishani hoti hai
rishton ke tane-bane se matlab kya
be-matlab hi kuchh nadani hoti hai
mausam dariya jangal sahra ganw 'shakil'
sab ki sifat jaani pahchani hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.