sapedi rang-e-jahan mein nahin milata hun
sapedī rañg-e-jahāñ meñ nahīñ milātā huuñ
haqīqatoñ ko gumāñ meñ nahīñ milātā huuñ
sarishk-e-ġham rag-e-jāñ meñ nahīñ milātā huuñ
maiñ zahr āb-e-ravāñ meñ nahīñ milātā huuñ
jo kah diyā ki tirā huuñ to sirf terā huuñ
maiñ jhuuT apne bayāñ meñ nahīñ milātā huuñ
tamām-shahr tirī haañ meñ haañ milātā hai
akelā maiñ tirī haañ meñ nahīñ milātā huuñ
tumhārā ġham ġham-e-duniyā se duur rakkhā hai
kabhī maiñ suud ziyāñ meñ nahīñ milātā huuñ
guzar gayā jo tirī yaad ke baġhair kabhī
vo pal maiñ umr-e-ravāñ meñ nahīñ milātā huuñ
sañvārtā huuñ use raat jaag kar 'arshad'
maiñ ḳhvāb ḳhvāb-e-girāñ meñ nahīñ milātā huuñ
sapedi rang-e-jahan mein nahin milata hun
haqiqaton ko guman mein nahin milata hun
sarishk-e-gham rag-e-jaan mein nahin milata hun
main zahr aab-e-rawan mein nahin milata hun
jo kah diya ki tera hun to sirf tera hun
main jhuT apne bayan mein nahin milata hun
tamam-shahr teri han mein han milata hai
akela main teri han mein nahin milata hun
tumhaara gham gham-e-duniya se dur rakkha hai
kabhi main sud ziyan mein nahin milata hun
guzar gaya jo teri yaad ke baghair kabhi
wo pal main umr-e-rawan mein nahin milata hun
sanwarta hun use raat jag kar 'arshad'
main KHwab KHwab-e-giran mein nahin milata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.