sapnon ki khiDki se jhanke gore gore tan ki dhup
sapnoñ kī khiḌkī se jhāñke gore gore tan kī dhuup
raat ga.e rang aur dikhā.e tere sundar-pan kī dhuup
joban thoḌī der kā mehmāñ joban par itrānā kyā
pal do pal meñ Dhal jā.egī ye tere joban kī dhuup
aas kā har ik panchhī apne ghar kī jānib lauT gayā
dīvāroñ par chaḌhne lagī hai phaile hue āñgan kī dhuup
tujh bin jaise gahan lagā ho ummīdoñ ke sūraj ko
dekh to kitnī kajlā.ī hai tujh bin mere man kī dhuup
jaise kisī alhaḌ gorī kā ho rañgīn ḳhayāl 'mujīb'
hai aisī sharmā.ī lajā.ī albele sāvan kī dhuup
sapnon ki khiDki se jhanke gore gore tan ki dhup
raat gae rang aur dikhae tere sundar-pan ki dhup
joban thoDi der ka mehman joban par itrana kya
pal do pal mein Dhal jaegi ye tere joban ki dhup
aas ka har ek panchhi apne ghar ki jaanib lauT gaya
diwaron par chaDhne lagi hai phaile hue aangan ki dhup
tujh bin jaise gahan laga ho ummidon ke suraj ko
dekh to kitni kajlai hai tujh bin mere man ki dhup
jaise kisi alhaD gori ka ho rangin KHayal 'mujib'
hai aisi sharmai lajai albele sawan ki dhup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.