sapnon mein raat aai nazuk jo phul wali
sapnoñ meñ raat aa.ī nāzuk jo phuul vaalī
qadmoñ meñ taare bikhre lahrā.ī dil kī Daalī
us ke sivā nahīñ hai ismat kā kuchh tasavvur
ḳhud husn goyā apne rang-rūp kī hai jaalī
jis ke salone mukh par tan vaare bhor apnā
us se milan kī aa.ī shubh raat kaalī kaalī
dhartī pe surḳh ho kar utre na.e savere
zīnat banī falak kī mere lahū kī laalī
nāzuk haiñ ġhuncha-o-gul in kā ḳhayāl rakhnā
kahtā yahī hai sab se bāġh-e-jahāñ kā maalī
sapnon mein raat aai nazuk jo phul wali
qadmon mein tare bikhre lahrai dil ki Dali
us ke siwa nahin hai ismat ka kuchh tasawwur
KHud husn goya apne rang-rup ki hai jali
jis ke salone mukh par tan ware bhor apna
us se milan ki aai shubh raat kali kali
dharti pe surKH ho kar utre nae sawere
zinat bani falak ki mere lahu ki lali
nazuk hain ghuncha-o-gul in ka KHayal rakhna
kahta yahi hai sab se bagh-e-jahan ka mali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.