sar-ba-zanu hain ki yunhi raat-bhar rahte hain hum
sar-ba-zānū haiñ ki yūñhī rāt-bhar rahte haiñ ham
phail jaatī hai zamīñ aur muḳhtasar rahte haiñ ham
bhāgtā huuñ ālam-e-idrāk se maiñ mujh se dil
haañ ḳhabar aatī hai lekin be-ḳhabar rahte haiñ ham
ik diyā jaltā hai tāqoñ meñ numā.ish ke liye
ek ā.īna hai jis meñ mushtahar rahte haiñ ham
sub.h tak bistar meñ baaqī ik shikan rahtā hai vo
shaam tak daftar meñ kHālī nīñd-bhar rahte haiñ ham
kaT rahe haiñ ug rahe haiñ mausamoñ ke saath saath
koī yug koī sadī ho vaqt par rahte haiñ ham
rāt-bhar uTh uTh ke paanī DhūñDte haiñ sāhibo
ek tishna ḳhvāb ke zer-e-asar rahte haiñ ham
sar-ba-zanu hain ki yunhi raat-bhar rahte hain hum
phail jati hai zamin aur muKHtasar rahte hain hum
bhagta hun aalam-e-idrak se main mujh se dil
han KHabar aati hai lekin be-KHabar rahte hain hum
ek diya jalta hai taqon mein numaish ke liye
ek aaina hai jis mein mushtahar rahte hain hum
subh tak bistar mein baqi ek shikan rahta hai wo
sham tak daftar mein kHali nind-bhar rahte hain hum
kaT rahe hain ug rahe hain mausamon ke sath sath
koi yug koi sadi ho waqt par rahte hain hum
raat-bhar uTh uTh ke pani DhunDte hain sahibo
ek tishna KHwab ke zer-e-asar rahte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.