sar bache ya na bache turra-e-dastar gaya
sar bache yā na bache turra-e-dastār gayā
shāh-e-kaj-fahm ko shauq-e-do-sarī maar gayā
ab kisī aur ḳharābe meñ sadā degā faqīr
yaañ to āvāz lagānā mirā bekār gayā
sarkasho shukr karo jā-e-shikāyat nahīñ daar
sar gayā baar gayā tāna-e-aġhyār gayā
avvalīñ chaal se aage nahīñ sochā maiñ ne
ziist shatranj kī baazī thī so maiñ haar gayā
sad ayyām pe paTḳhe hai divāna sar ko
jis ko chāhā ki na jaa.e vahī is baar gayā
sar bache ya na bache turra-e-dastar gaya
shah-e-kaj-fahm ko shauq-e-do-sari mar gaya
ab kisi aur KHarabe mein sada dega faqir
yan to aawaz lagana mera bekar gaya
sarkasho shukr karo ja-e-shikayat nahin dar
sar gaya bar gaya tana-e-aghyar gaya
awwalin chaal se aage nahin socha main ne
zist shatranj ki bazi thi so main haar gaya
sad ayyam pe paTKHe hai diwana sar ko
jis ko chaha ki na jae wahi is bar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.