sar bhi bhaari hai dil bhi bhaari hai
sar bhī bhārī hai dil bhī bhārī hai
be-qarārī sī be-qarārī hai
āsmāñ par sitāre haiñ raushan
kaisī qudrat kī dast-kārī hai
pyaas ne aaj kar diyā sābit
zā.iqa āñsuoñ kā khārī hai
aap jis ko na sun sake ab tak
bas vahī dāstāñ hamārī hai
raat ke baa'd sub.h kā aanā
silsila ye azal se jaarī hai
āj-kal ke sharīf-zādoñ meñ
saaf goī na inkisārī hai
aap hindī zabāñ pe shaidā haiñ
ham ko urdu zabān pyārī hai
bhes badle hue na ho 'gauhar'
aap ke dar pe jo bhikārī hai
sar bhi bhaari hai dil bhi bhaari hai
be-qarari si be-qarari hai
aasman par sitare hain raushan
kaisi qudrat ki dast-kari hai
pyas ne aaj kar diya sabit
zaiqa aansuon ka khaari hai
aap jis ko na sun sake ab tak
bas wahi dastan hamari hai
raat ke ba'd subh ka aana
silsila ye azal se jari hai
aaj-kal ke sharif-zadon mein
saf goi na inkisari hai
aap hindi zaban pe shaida hain
hum ko urdu zaban pyari hai
bhes badle hue na ho 'gauhar'
aap ke dar pe jo bhikari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.