sar-burida koi lashkar nahin dekha jata
sar-burīda koī lashkar nahīñ dekhā jaatā
ham se ye zulm kā manzar nahīñ dekhā jaatā
apnī āñkhoñ ko yahī kah ke sulā detā huuñ
apnī auqāt se baḌh kar nahīñ dekhā jaatā
apne kāñdhoñ pe uThā lete haiñ lāsha apnā
bojh apnā kisī sar par nahīñ dekhā jaatā
dekhne ko to use baar nahīñ hai mujh ko
baat ye hai ki barābar nahīñ dekhā jaatā
lauTnā ho to un āñkhoñ se kinārā kar lo
Dūbnā ho to samundar nahīñ dekhā jaatā
aa.ina huuñ na churā mujh se tū nazreñ apnī
dekh ā.īne se bāhar nahīñ dekhā jaatā
ham bure haiñ to koī baat nahīñ hai 'iqrār'
un se to koī suḳhan-var nahīñ dekhā jaatā
sar-burida koi lashkar nahin dekha jata
hum se ye zulm ka manzar nahin dekha jata
apni aankhon ko yahi kah ke sula deta hun
apni auqat se baDh kar nahin dekha jata
apne kandhon pe uTha lete hain lasha apna
bojh apna kisi sar par nahin dekha jata
dekhne ko to use bar nahin hai mujh ko
baat ye hai ki barabar nahin dekha jata
lauTna ho to un aankhon se kinara kar lo
Dubna ho to samundar nahin dekha jata
aaina hun na chura mujh se tu nazren apni
dekh aaine se bahar nahin dekha jata
hum bure hain to koi baat nahin hai 'iqrar'
un se to koi suKHan-war nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.