sar denge alam sar-nigun hum hone na denge
sar deñge alam sar-nigūñ ham hone na deñge
miT jā.eñge tauhīn-e-haram hone na deñge
vo din ga.e jhuk jaate the ham aap ke aage
ab to sar-e-taslīm bhī ḳham hone na deñge
ye hasrat-e-dīdār nikal jaa.e na jab tak
ai zauq-e-nazāra tujhe kam hone na deñge
ham nazm-e-gulistāñ ko badal deñge sitamgar
phūloñ pe havāoñ ke sitam hone na deñge
vo husn pe maġhrūr haiñ hote raheñ lekin
ham ishq ko mohtāj-e-karam hone na deñge
vo bhī nazar aate haiñ sitamgāroñ meñ 'maḳhfī'
jo kahte the ham zulm-o-sitam hone na deñge
sar denge alam sar-nigun hum hone na denge
miT jaenge tauhin-e-haram hone na denge
wo din gae jhuk jate the hum aap ke aage
ab to sar-e-taslim bhi KHam hone na denge
ye hasrat-e-didar nikal jae na jab tak
ai zauq-e-nazara tujhe kam hone na denge
hum nazm-e-gulistan ko badal denge sitamgar
phulon pe hawaon ke sitam hone na denge
wo husn pe maghrur hain hote rahen lekin
hum ishq ko mohtaj-e-karam hone na denge
wo bhi nazar aate hain sitamgaron mein 'maKHfi'
jo kahte the hum zulm-o-sitam hone na denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.