sar-e-bazar humne bhi tamasha kya nahin dekha
sar-e-bāzār ham ne bhī tamāshā kyā nahīñ dekhā
bhare sansār meñ ham ne koī tum sā nahīñ dekhā
na chheḌo baat ulfat kī mohabbat aur chāhat kī
fareb-e-husn meñ ham ne sitam kyā kyā nahīñ dekhā
yahāñ har roz hotī hai qayāmat har ghaḌī barpā
kisī bastī ko aise ḳhuun meñ Duubā nahīñ dekhā
jahāñ dekhūñ vahāñ bas ek hī ātish-zabānī hai
baraste phuul hoñ jin se koī aisā nahīñ dekhā
nasīhat raas koī bhī tujhe aatī nahīñ 'mohsin'
zamāne bhar meñ patthar-dil koī tujh sā nahīñ dekhā
sar-e-bazar hum ne bhi tamasha kya nahin dekha
bhare sansar mein hum ne koi tum sa nahin dekha
na chheDo baat ulfat ki mohabbat aur chahat ki
fareb-e-husn mein hum ne sitam kya kya nahin dekha
yahan har roz hoti hai qayamat har ghaDi barpa
kisi basti ko aise KHun mein Duba nahin dekha
jahan dekhun wahan bas ek hi aatish-zabani hai
baraste phul hon jin se koi aisa nahin dekha
nasihat ras koi bhi tujhe aati nahin 'mohsin'
zamane bhar mein patthar-dil koi tujh sa nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.