sar-e-dar aur kaun aata jo diwane nahin aate
sar-e-dār aur kaun aatā jo dīvāne nahīñ aate
ye vo manzil hai jis manzil meñ farzāne nahīñ aate
surāhī bhī hai baada bhī ghaTā.eñ bhī haiñ saaqī bhī
har ik shai hai magar gardish meñ paimāne nahīñ aate
jahān-e-zīst kī tāmīr-e-nau meñ jo muāvin hoñ
kareñ kyā apne hoñToñ tak vo afsāne nahīñ aate
manā leñ ḳhuub jashn-e-aish arbāb-e-ḳhirad hamdam
abhī kuchh der tak mahfil meñ dīvāne nahīñ aate
chalā huuñ tāza-dam le kar bahāreñ jānib-e-sahrā
tasavvur meñ bhī ab to dost vīrāne nahīñ aate
na jaane sard ho kar rah ga.ī kyoñ garmi-e-mahfil
ye kyoñ āḳhir huzūr-e-sham.a parvāne nahīñ aate
kashākash hī rahegī sāġhar-o-mīnā-o-bāda meñ
qadam jab tak hamāre 'fauq' mai-ḳhāne nahīñ aate
sar-e-dar aur kaun aata jo diwane nahin aate
ye wo manzil hai jis manzil mein farzane nahin aate
surahi bhi hai baada bhi ghaTaen bhi hain saqi bhi
har ek shai hai magar gardish mein paimane nahin aate
jahan-e-zist ki tamir-e-nau mein jo muawin hon
karen kya apne honTon tak wo afsane nahin aate
mana len KHub jashn-e-aish arbab-e-KHirad hamdam
abhi kuchh der tak mahfil mein diwane nahin aate
chala hun taza-dam le kar bahaaren jaanib-e-sahra
tasawwur mein bhi ab to dost virane nahin aate
na jaane sard ho kar rah gai kyon garmi-e-mahfil
ye kyon aaKHir huzur-e-shama parwane nahin aate
kashakash hi rahegi saghar-o-mina-o-baada mein
qadam jab tak hamare 'fauq' mai-KHane nahin aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.