Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar-e-dasht dil jo sarab tha koi KHwab tha

Bushra Hashmi

sar-e-dasht dil jo sarab tha koi KHwab tha

Bushra Hashmi

MORE BYBushra Hashmi

    sar-e-dasht dil jo sarāb thā koī ḳhvāb thā

    mirī ḳhvāhishoñ azaab thā koī ḳhvāb thā

    tirī ḳhushbuoñ talāsh meñ mirā rāz-dāñ

    vahī ek kunj-e-gulāb thā koī ḳhvāb thā

    vo jo chāñd thā sar-e-āsmāñ koī yaad thī

    jo guloñ pe ahd-e-shabāb thā koī ḳhvāb thā

    jo na kaT sakā vo nishān thā kisī zaḳhm

    jo na mil sakā vo sarāb thā koī ḳhvāb thā

    sar-e-dasht dil jo sarab tha koi KHwab tha

    meri KHwahishon ka azab tha koi KHwab tha

    teri KHushbuon ki talash mein mera raaz-dan

    wahi ek kunj-e-gulab tha koi KHwab tha

    wo jo chand tha sar-e-asman koi yaad thi

    jo gulon pe ahd-e-shabab tha koi KHwab tha

    jo na kaT saka wo nishan tha kisi zaKHm ka

    jo na mil saka wo sarab tha koi KHwab tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now