sar-e-KHayal hai ye kaun magar nahin hun main
sar-e-ḳhayāl hai ye kaun magar nahīñ huuñ maiñ
jidhar talāsh rahe ho udhar nahīñ huuñ maiñ
ye taur-e-justujū thoḌā badal ke dekho na
maiñ aur bhī huuñ bahut jism-bhar nahīñ huuñ maiñ
ye kis kī shakl mirī zaat par numāyāñ hai
mirī tarah tū lage haiñ magar nahīñ huuñ maiñ
thakan safar ko sameTe hue ho paañv meñ
ye aur baat ke zer-e-safar nahīñ huuñ maiñ
maiñ sochtā huuñ ki ab ishq hī karūñ tujh se
bahut dinoñ se kisī kaam par nahīñ huuñ maiñ
shab-e-javānī huuñ aisā na ho guzar jā.ūñ
so mujh ko jī lo kī phir umr-bhar nahīñ huuñ maiñ
sar-e-KHayal hai ye kaun magar nahin hun main
jidhar talash rahe ho udhar nahin hun main
ye taur-e-justuju thoDa badal ke dekho na
main aur bhi hun bahut jism-bhar nahin hun main
ye kis ki shakl meri zat par numayan hai
meri tarah tu lage hain magar nahin hun main
thakan safar ko sameTe hue ho panw mein
ye aur baat ke zer-e-safar nahin hun main
main sochta hun ki ab ishq hi karun tujh se
bahut dinon se kisi kaam par nahin hun main
shab-e-jawani hun aisa na ho guzar jaun
so mujh ko ji lo ki phir umr-bhar nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.