sar-e-mahfil dil-e-tanha pe hansi aati hai
sar-e-mahfil dil-e-tanhā pe hañsī aatī hai
mujh ko is ġhuncha-e-sahrā pe hañsī aatī hai
haañ tirā va.ada-e-fardā thā kabhī vaj.h-e-hayāt
ab isī va.ada-e-fardā pe hañsī aatī hai
shab-e-mah mausam-e-gul aur javānī tauba
aisī be-vaqt kī tauba pe hañsī aatī hai
kabhī TuuTī huī kashtī pe taras aatā hai
kabhī chaḌhte hue dariyā pe hañsī aatī hai
maiñ javāñ huuñ mirī fitrat kā taqāzā hai kuchh aur
mujh ko andesha-e-fardā pe hañsī aatī hai
chaar tinkoñ kā jalānā bhī baḌī baat thī kuchh
barq kī zahmat-e-be-jā pe hañsī aatī hai
chāhte haiñ ki unheñ dil se bhulā duuñ maiñ 'sa.īd'
aisī ma.asūm tamannā pe hañsī aatī hai
sar-e-mahfil dil-e-tanha pe hansi aati hai
mujh ko is ghuncha-e-sahra pe hansi aati hai
han tera wada-e-farda tha kabhi wajh-e-hayat
ab isi wada-e-farda pe hansi aati hai
shab-e-mah mausam-e-gul aur jawani tauba
aisi be-waqt ki tauba pe hansi aati hai
kabhi TuTi hui kashti pe taras aata hai
kabhi chaDhte hue dariya pe hansi aati hai
main jawan hun meri fitrat ka taqaza hai kuchh aur
mujh ko andesha-e-farda pe hansi aati hai
chaar tinkon ka jalana bhi baDi baat thi kuchh
barq ki zahmat-e-be-ja pe hansi aati hai
chahte hain ki unhen dil se bhula dun main 'said'
aisi masum tamanna pe hansi aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.