sar-e-sahra-e-jaan hum chaak-damani bhi karte hain
sar-e-sahrā-e-jāñ ham chāk-dāmānī bhī karte haiñ
zarūrat aa paḌe to ret ko paanī bhī karte haiñ
kabhī dariyā uThā laate haiñ apnī TuuTī kashtī meñ
kabhī ik qatra-e-shabnam se tuġhyānī bhī karte haiñ
kabhī aisā ki āñkhoñ meñ nahīñ rakhte haiñ koī ḳhvāb
kabhī yuuñ hai ki ḳhvāboñ kī farāvānī bhī karte haiñ
hamesha aap kā har hukm sar āñkhoñ pe rakhte haiñ
magar ye yaad rakhiyegā ki man-mānī bhī karte haiñ
miyāñ tum dost ban kar jo hamāre saath karte ho
vahī sab kuchh hamāre dushman-e-jānī bhī karte haiñ
ye kyā qātil haiñ, pahle qatl karte haiñ mohabbat kā
phir us ke baa'd iz.hār-e-pashemānī bhī karte haiñ
tujhe tā'mīr kar lenā to ik āsān sā fan hai
rifāqat ke mahal! ham terī darbānī bhī karte haiñ
sar-e-sahra-e-jaan hum chaak-damani bhi karte hain
zarurat aa paDe to ret ko pani bhi karte hain
kabhi dariya uTha late hain apni TuTi kashti mein
kabhi ek qatra-e-shabnam se tughyani bhi karte hain
kabhi aisa ki aankhon mein nahin rakhte hain koi KHwab
kabhi yun hai ki KHwabon ki farawani bhi karte hain
hamesha aap ka har hukm sar aankhon pe rakhte hain
magar ye yaad rakhiyega ki man-mani bhi karte hain
miyan tum dost ban kar jo hamare sath karte ho
wahi sab kuchh hamare dushman-e-jaani bhi karte hain
ye kya qatil hain, pahle qatl karte hain mohabbat ka
phir us ke ba'd izhaar-e-pashemani bhi karte hain
tujhe ta'mir kar lena to ek aasan sa fan hai
rifaqat ke mahal! hum teri darbani bhi karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.