sar-e-sham usne munh se jo ruKH-e-naqab ulTa
sar-e-sham usne munh se jo ruKH-e-naqab ulTa
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
sar-e-shām us ne muñh se jo ruḳh-e-naqāb ulTā
na ġhurūb hone paayā vahīñ āftāb ulTā
jo kisī ne 'qais-o-lailā' use lā ke dī musavvar
na hayā ke maare us ne varaq-e-kitāb ulTā
maiñ hisāb-e-bosa jī meñ kahīñ apne kar rahā thā
vo lagā mujhī se karne talab aur hisāb ulTā
jo haiñ āshnā-e-mashrab vo kisī se hoñ na saa.il
isī vāste rahe hai qadah-e-habāb ulTā
mah-e-chār-dah kā aalam maiñ dikhā.ūñgā falak ko
agar us ne parda muñh se shab-e-māhtāb ulTā
jo ḳhafā huā maiñ jī meñ kisī baat par shab-e-vasl
sahar uTh ke mere aage vahīñ is ne ḳhvāb ulTā
ba-savāl-e-bosa us ne mujhe ruk ke dī jo gaalī
maiñ adab ke maare us ko na diyā javāb ulTā
kahīñ chashm-e-mehr us par to na paḌ ga.ī ho yā rab
jo nikalte sub.h ghar se vo phirā shitāb ulTā
maiñ huā huuñ jis pe āshiq ye shagarf mājrā hai
ki mire ivaz lagā hai use iztirāb ulTā
kisī mast kī lagī hai magar is ke sar ko Thokar
jo paḌā hai mai-kade meñ ye ḳhum-e-sharāb ulTā
ye maqām-e-āfrīñ hai ki ba-zor mus.hafī ne
unhī qāfiyoñ ko phir bhī ba-sad āb-o-tāb ulTā
sar-e-sham us ne munh se jo ruKH-e-naqab ulTa
na ghurub hone paya wahin aaftab ulTa
jo kisi ne 'qais-o-laila' use la ke di musawwar
na haya ke mare us ne waraq-e-kitab ulTa
main hisab-e-bosa ji mein kahin apne kar raha tha
wo laga mujhi se karne talab aur hisab ulTa
jo hain aashna-e-mashrab wo kisi se hon na sail
isi waste rahe hai qadah-e-habab ulTa
mah-e-chaar-dah ka aalam main dikhaunga falak ko
agar us ne parda munh se shab-e-mahtab ulTa
jo KHafa hua main ji mein kisi baat par shab-e-wasl
sahar uTh ke mere aage wahin is ne KHwab ulTa
ba-sawal-e-bosa us ne mujhe ruk ke di jo gali
main adab ke mare us ko na diya jawab ulTa
kahin chashm-e-mehr us par to na paD gai ho ya rab
jo nikalte subh ghar se wo phira shitab ulTa
main hua hun jis pe aashiq ye shagarf majra hai
ki mere iwaz laga hai use iztirab ulTa
kisi mast ki lagi hai magar is ke sar ko Thokar
jo paDa hai mai-kade mein ye KHum-e-sharab ulTa
ye maqam-e-afrin hai ki ba-zor mushafi ne
unhi qafiyon ko phir bhi ba-sad aab-o-tab ulTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.