sar-e-taslim KHam karna paDa taqsir se pahle
sar-e-taslīm ḳham karnā paḌā taqsīr se pahle
mohabbat kī sazā mujh ko milī ta.azīr se pahle
burā hogā hamārī raah meñ aayā agar koī
ki ham shamshīr ban jā.eñge ḳhud shamshīr se pahle
mohabbat kī nazar ik ik nafas par kaam kartī hai
tujhe ham dekh lete haiñ tirī tasvīr se pahle
mohabbat kā zamāna bhī ajab dilkash zamāna thā
asīrī merī sābit ho ga.ī zanjīr se pahle
hamāre nāma-e-pur-shauq likhne par ye pābandī
qalam kī jā.eñgī kyā uñgliyāñ tahrīr se pahle
mohabbat kī amānat yūñhī insāñ ne nahīñ paa.ī
kiyā hai ġhaur ḳhud qudrat ne bhī taqdīr se pahle
koī aise meñ bedārī kā de paiġhām ai 'shā.ir'
zamāna hosh meñ aatā nahīñ taqrīr se pahle
sar-e-taslim KHam karna paDa taqsir se pahle
mohabbat ki saza mujh ko mili tazir se pahle
bura hoga hamari rah mein aaya agar koi
ki hum shamshir ban jaenge KHud shamshir se pahle
mohabbat ki nazar ek ek nafas par kaam karti hai
tujhe hum dekh lete hain teri taswir se pahle
mohabbat ka zamana bhi ajab dilkash zamana tha
asiri meri sabit ho gai zanjir se pahle
hamare nama-e-pur-shauq likhne par ye pabandi
qalam ki jaengi kya ungliyan tahrir se pahle
mohabbat ki amanat yunhi insan ne nahin pai
kiya hai ghaur KHud qudrat ne bhi taqdir se pahle
koi aise mein bedari ka de paigham ai 'shair'
zamana hosh mein aata nahin taqrir se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.